Singer | Rahul Vaidya |
Music | Barrel |
Song Writer | Kirat Gill |
Shayad Fir Se Lyrics
Ikrar karne ko
Jo baatein adhuri reh gayi thi
Use izhar karne ko
Chalo fir se milte hain
Jo bhi humse gustakhi huyi
Chalo bhool ke ab bas pyar karein
Tum shaamon mein fir sun’ne aao
Fir ishq pade gulzar bane
Bohat kar li baatein logon ne
Bas ab aur na ho deri
Bohat ab beet liye savan
Fir us hawa se milte hain
Jahan pehli baar gale mile
Uss jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jayein
Uss wajah se milte hain
Jahan pehli baar gale mile
Uss jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jayein
Uss wajah se milte hain
Dekh ke sitaron ko
Fir se unn baharon ko
Dil ke beemaron ko dawa di jaye
Fir se muskurate hain chal
Chand ko bulate hain
Hathon ko mila ke fir dua ki jaye
Baat itni si hi to thi
Baat ko yahin chhodte hain
Kirat se fir se pyar ho jaye
Bas uss tarah se milte hain
Jahan pehli baar gale mile
Uss jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jayein
Uss wajah se milte hain
Pehle to chup se rahenge
Fir dheeme se bolenge
Kaandhe pe sar rakh unke
Bahane se ro lenge
Woh thoda thoda ladte rahenge
Par bichhadne ka dar bhi rahega
Hothon se shikwe kiye jo sab
Aansuon se dho lenge
Jale pannon ki kahaani ko
Sunane ka mauka to do
Yeh mauke dil ko jod de jo
Bas ek dafa hi milte hain
Jahan pehli baar gale mile
Uss jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jayein
Uss wajah se milte hain
0 Comments